Wednesday, August 24, 2011

shaam udhaar do

tumhe jab kabhi milay fursaten mere dil se bojh utar do
main bahut dino se udaas hoon mujhe koi shaam udhaar do

mujhe apne roop ki dhoop do ki chamak sakein mere kahl-o-khad
mujhe apne rang me rang do mere sare zang utaar do

kisi aur ko mere haal se na gharz hai na koi waasta
main bikher gaya hoon samait lo mai bigar gaya hoon sanwaar do

mere wehshaton ko badha diya judaiyon ke azaab ne
mere dil pe haat rakho zara meri dhadkano ko qaraar do

mila nahi



main samandaron ka mizaaj hoon abhi iss nadi ko pata nahi
sabhi nadiyan mujhse mili magar main kisi se jaa ke mila nahi

mere dil ki samat na deekho toh kisi aur ka ye muqam hai
yahan isski yadein muqeem hai ye kisi aur ko maine diya nahi

mujhe deekh kar na jhuka nazar, na kiward dil ke tu band kar
tere ghar me aaonga kis tarh ki main aadmi hoon hawa nahi

mera dil ki khushbu se bhar gaya, woh qareeb se yun guzar gaya
woh meri nazar me to phool hai, isse kya laga main pata nahi

meri umr bhar ki thakawatein to palak jhapakte utar gaein
mujhe itne pyar se aaj tak kisi doosre ne chuaa nahi

ye muqadar ki likhawatein jo chamak gaein wo padhi gaein
jo mere qalam se likha gaya isse kyo kisi ne padha nahi

ye badr aab bhi sawal hai ki berukhi hai ki pyar hai
kabhi paas iss ke gaya nahi kabhi door iss se raha nahi  



mere bare me



mere bare me hawaon se wo kab pooche ga
khaak jab khaak me mil jaye gi tab pooche ga

ghar basane me ye khatra hai ki ghar ka maalik

raat me dair se aane ka sabab pooche ga

apna gham sab ko batana hai tamasha karna

haal-e-dil ussko sunayen ge wo jab pooche ga

jab bichardna bhi ho to hunste huay jana warna

har koi rooth kar jane ka sabab pooche ga

humne lafzon ke jahan daam lage baich diya

shair poche ga abb hume na adab poochega



tu aaina hai

tu aaina hai tujhe deekh kar sanwarta hoon
kahan kahan tera chehra talash karta hoon
 

ye deek hijr tera kitna khoobsurat hai
ajeeb mard hoon solah-singar karta hoon
 

badan samait ke le jae jaise shaam ki dhoop
tumhare shehar me iss tarah guzarta hoon
 

tamaam din ka safar karke rooz shaam ke baad  
pahadiyon se gheeri qabr me utarta hoon
 

muje sukoon ghane jungalon me milta hai
main raaston se nahi manzilon se darta hoon


 

nahi deka

galiyon se meri tum ne guzar kar nahi deka
gham ye hai ki khushiyon ne mera ghar nahi dekha

mehroom hai wo pyar ki daulat se abhi tak

dil jis ne apna kahin laga kar nahi dekha

gumnaam hai wo phool gulistan-e-jahan me
khushboo ki tarah jis ne bikhar kar nahi dekha

aaine faqat isski tasalli ke liye hain

dulhan ki tarah jis ne sanwar kar nahi dekha

ye sach hai ki mera qatl sar-e-aam hua hai
kis ka tha meri peeth me khanjar nahi dekha

dil cheer kar nikle hain ye ashaar humare
afsoos inhe aap ne padh kar nahi dekha