main samandaron ka mizaaj hoon abhi iss nadi ko pata nahi
sabhi nadiyan mujhse mili magar main kisi se jaa ke mila nahi
mere dil ki samat na deekho toh kisi aur ka ye muqam hai
yahan isski yadein muqeem hai ye kisi aur ko maine diya nahi
mujhe deekh kar na jhuka nazar, na kiward dil ke tu band kar
tere ghar me aaonga kis tarh ki main aadmi hoon hawa nahi
mera dil ki khushbu se bhar gaya, woh qareeb se yun guzar gaya
woh meri nazar me to phool hai, isse kya laga main pata nahi
meri umr bhar ki thakawatein to palak jhapakte utar gaein
mujhe itne pyar se aaj tak kisi doosre ne chuaa nahi
ye muqadar ki likhawatein jo chamak gaein wo padhi gaein
jo mere qalam se likha gaya isse kyo kisi ne padha nahi
ye badr aab bhi sawal hai ki berukhi hai ki pyar hai
kabhi paas iss ke gaya nahi kabhi door iss se raha nahi
No comments:
Post a Comment