koi lashkar hain kih badhte huay gham aate hain
shaam ko saaye bahut teez qadam aate hain
dil wo darweesh hai jo aankh uthata he nahi
iss ke darwaze peh sau ahl-e-karam aate hain
mujh se kya baat likhani hai kih abb mere liye
kabhi soone kabhi chaandi ke Qalam aate hain
main ne do char kitabein to padhi hain lekin
shehar ke taur tareeqay mujhe kam aate hain
khoobsurat sa koi haadsa aankhon me liye
ghar ki dehliiz peh darte huay hum aate hain
No comments:
Post a Comment