Saturday, January 14, 2012

na hona...............!!!

 
 
 
yun bhi kabhi bekrar na hona,
mere sir pe sawaar na hona,

mujhe tej chlne ka shaukh nahi,
main hawa tum bayaar na hona,

bada baaghi hai ye dil mera,
uske liye tum beemar na hona,

main wo raah jise manzil ka pata,
kisi mor pad tum intejar na hona,

mujhe badnaami achhi lagti hai,
is baat se tum sharmsaar na hona,

mujhe dilon me failne ka shaukh,
par tum kabhi beemar na hona.....:)

No comments:

Post a Comment