Saturday, January 14, 2012

wo kahta hai

 
meri khamoshi ko woh meri khata kehta hai
kitna nadaan hai wafaoon ko jafa kehta hai
woh ke anjaan e mohabbat hai use kya kahiye
dil ke rone ko woh dhadkan ki sada kehta hai
mai use kitna bhi chahoon per nahi us pe asar
meri diwaangi ko apna huner kehta hai
yaan to awaaz uthaane ki saza maut hi hai
tum bhi maano wohi jo haakime waqt kehta hai
bus woh aaghaaz e mohabat ke char lamhe hain yaad
jin ko woh larakpan ki khata kehta hai.....

No comments:

Post a Comment