naa tha ,,,,,,, !!!

sahil-e-samandar ke kareeb aa kar humari kashti mein surakh hua....
gar beech samandar doob bhi jaate to KHUDA se koi gila na tha.
anjaam-e-safar par pahunch kar humare humsafar ne humse kaha...
ki usne humein saathi isliye chuna kyun ki use aur koi mila na tha.
taumr humein ishq ke naam par deti rahi woh dagaa...
gar humare janaaze mein hi shareek ho jaati to is se barh kar mohabbat ka koi sila na tha.
jab woh humara saath chhod kar gya to toot gaye hum...
warna tufaano'n se bhi hosla humara hila na tha.
har baag mein raunak laya mausam-e-bahara....
par jo "betaab" ki zindagi mehkaaye woh gul kabhi khila na tha.
No comments:
Post a Comment